Posts

Showing posts from July, 2012

Har Siah Raat Ke Bad

Image
Har Siah Raat Ke Bad ek Shaffaf Subah Zaroor Namoodar Hoti Hai sunehri batein

Waqt ek Samandar Hai

Image
Waqt ek Samandar Hai iski lehrein ginte ginte agar koi leher bhool jao to uske gham mein un lehron ko na ganwa dena jo aane wali hain.. sunehri batain in urdu

Pur Khuloos Duain

Image
Pur Khuloos Duain Kabhi Bekar Nahien Jati Ye Baharon Ki Rut Mein sunehri baaten

issi ka naam zindagi hai

Image
issi ka naam zindag Zindagi Samandar Ke Sahil Par Pari Ret Ki Tarha Hai sunehri batain

Phool bhi khilati hai

Image
Museebat Mosame Surma Ki Barish Ki Tarha Hoti Hai Jo Insan Podon Aur Janwaron ko..... sunehri batain

Honton Ki Muskarahat

Image
Honton Ki Muskarahat Dil Ki Tarjumani Nahien Karsakti sunehri batein

Duniya ke samundar mein

Image
Insan Dunya Ke Samandar Main Tinke ki Tarah Beh jane k liye peda nahi huwa balke... sunehri batain

Jo Uske Chehre Pe Range Haya Thehr Jay

Image
Jo Uske Chehre Pe Range Haya Thehr Jay To saans waqt samandar hawa Thehr Jay "Farhat abbas shah Urdu Poetry" Urdu PoetryFarhat abbas shah

Rabtay Mohabat Ke

Image
Rabtay Mohabat Ke Fasley mohabbat ke gher gher lete hain dayere mohabbat ke "Farhat abbas shah" Farhat abbas shah poetry in urdu

Un Jheel Si Gehri Aankhon Mein

Image
Un jheel si gehri aankhon mein ik shaam kahin aabaad to ho ik khwab ka neela phool khile wo phool bahaden lehron mein ik roz kabhi hum shaam dhalle us phool ke behte rangon mein jis waqt larazta chand chale ! us waqt kahin un aankhon mein is bisre pal ki yaad to ho ! Un jheel si gehri aankhon mein ik shaam kahin aabaad to ho ! phir chaahe umar samandar ki har moj pareshan ho jaye phir chahe aankh dareeche se har khwab gurezaan ho jaye phir chahe phool ke chehre ka har dard numayaan ho jaye ! is jheel kinare pal do pal wo roop nagar aejaad to ho din raat ke is aaieenay se wo aks kabhi azaad to ho Un jheel si gehri aankhon mein ik shaam kahin aabaad to ho ..!! "Amjad islam amjad urdu poem" amjad islam amjad shayari

Kahan Aake Rukne Thay Rastay

Image
Kahan Aake Rukne Thay Rastay "Amjad Islam Amjad Urdu Poetry" best of amjad islam amjad

Mohabbatein jab shumar karna

Image
Mohabbatein Jab Shumar Karna To Sazishein Bhi Shumar Karna Jo Mere Hisse Me Aaye Hain Wo Azyatein Bhi Shumar Karna Jalaye Rakhon Gi Subah Tak Me Tumhare Raston Mein Apni Aankhein Magar Kahein Zabt Toot Jaye To Barishain Bhi Shumar Karna Jo Huruf Luh-e-Wafa Pe Likhe Huye Hain Inn ko Bhi Dekh Lena Jo Rae Gaan Hogi Wo Sari Ibaratein Bhi Shumar Karna Ye Sadiyon Ka Udas Mosam ki Dhadkan e Baraf Hogain Hain Jab Unki Yakh  Bastagi Parakhna, Tamazatein Bhi Shumar Karna Tum Apni Majboori Ke Kisse Zaror Likh Na Wazahaton Se Jo Meri Aankhon Mein Jal Bujh Hai Wo Khwahishein Bhi Shumar Karna "Noshi Gilani Poetry" Urdu Poetry of noshi gilani

Wo baat baat main itna badalta jata hai

Image
Wo baat baat mein itna badalta jaata hai, ke jis tarah koi lehja badalta jaata hai. Ye aarzoo thi ki hum uss ke saath saath chalen, magar woh shakhs toh raasta badalta jaata hai. Ruttein wisaal ki ab khwaab hone waali hain, ki uss ki baat ka lehja badalta jaata hai. Reha jo dhoop mein sar par mere wahi aanchal, hawa chali hai toh kitna badalta jaata hai. Woh baat kar jise duniya bhi mo tabar samjhe, tujhe khabar hai zamaana badalta jaata hai. !! "Noshi Gilani Poetry" Urdu Poetry by noshi gilani

Agar Kabhi Meri Yaad Aaye

Image
Agar Kabhi Meri Yaad Aaye to chand raton ki nurm dilgeer roshni mein kisi sitare ko dekh lena.... "Amjad Islam Amjad" urdu poem by amjad islam amjad

Udasion Ka Sabab Jo Likhna

Image
Udasion ka sabab jo likhna" to ye bhi likhna ke chand taaray, shahaab ankhien badal gaye hain wo zinda lamhay jo teri rahon mein tere anay kay muntazir thay wo thak kay raahon mien dhel gaye hain wo teri yaadien, khayal tere, wo ranj tere, milaal tere wo teri ankhein, sawal tere wo tum say mere tamam rishtay bichar gaye hain, ujadh gaye hian udasion ka sabab jo likna to ye bhi likhna leraztay hoonton pe larhkharhti, dua ke soraj peghal gaye hain tamaam sapnay he jal gaye hain "Farhat abbas shah Urdu Poetry" Farhat abbas shah Urdu Poetry

Jaga sake na tere lab

Image
Jaga sake na tere lab,lakeer aesi thi Hamare bakhat ki lakeer bhi Meer aesi thi. Ye haath choome gaye,phir bhi be-gulaab rahe Jo rut bhi aai,khizaa'n ki safeer aesi thi. Wo mere paaown ko chhoone laga tha jis lamhe Jo maangta use deti,ameer aesi thi. Shahaadaten mere haq main tamaam jaati thee'n Magr khamosh thay munsif nazeer aesi thi. Kutr k jaal bhi,sayaad ki raza k bagair Tamam umer na urrTi,aseer aesi thi. Bas ik nigah mujhe deta,chala jata Us aadmi ki mohabbat faqeer aesi thi. "Parveen Shakir Poetry" Urdu Poetry - Urdu Shayri - Urdu Ghazal - Urdu Poems

Garmie hasrate nakam se Jal jatay hain

Image
Garmi-e-hasrat-e-nakam se jal jate hain Hum charagon ki tarah sham se jal jate hain Bach nikaltay hain agar atish-e-sayyad se Hum Shola-e-atish-e-gulfam se jal jate hain khud-numai to nahi shewa-e-arbab-e-wafa Jin ko jalna ho wo aram se jal jate hain Shama jis aag mein jalti hai numaish k liye Hum usi aag mein gumnam se jal jate hain Jab bhi ata hai mera nam tere nam ke sath Jane kyun log mere nam se jal jate hain Rabta baham pe hamein kya na kahen gay dushman ashna jab tere paigam se jal jatay hain "Qateel Shifai Poetry" Urdu Poetry Of qateel shifai

Tumse mohabbat thi

Image
Kaha Ussn ne Mujhay tab waqai tumse mohabbat thi kaha mein ne mujhe to aaj bh tumse mohabbat hai wo tab ki bat karti hai mein ab ki baat karta hu magar jo fasila tab aur ab k darmyan haael hai wo humse to mil kar bhi sameTa ja nahi sakta wo ab tak Aa nahi sakti mein tab ko paa nahi sakta...! "Qateel Shifai Poetry" Urdu Poetry - Urdu Shayri - Urdu Ghazal - Urdu Poems

Safar Tanha Nahi Karte

Image
Safar Tanha Nahi Karte' Suno Aisa Nahi Karte Jise Shafaaf Rakhna Ho Usey Mela Nahi Karte Bohat Ujre Howe Ghar Par Bohat Socha Nahi Karte Safar Jiska Muqadar Ho Usey Roka Nahi Karte Jo Mil Kar Khud Se Kho Jae Usey Ruswa Nahi Karte Teri Aankhen Ijazat Dein To Ham Kya Kya Nahi Karte Chalo Tum Raaz Ho Apna Tumhein Afsha Nahi Karte Jo Dhun Ho Kar Guzarne Ki To Phir Socha Nahi Karte Kabhi Hansne Se Darte Hain Kabhi Roya Nahi Karte Teri Aankhon Ko Parhte Hain Tujhe Dekha Nahi Karte Ye Onchey Pair Kese Hain Kahein Saya Nahi Karte Sahar Se Pooch Lo "Mohsin" Ke Hum Soya Nahi Karte "Mohsin Naqvi Urdu Poetry" mohsin naqvi best urdu poetry

Kon rok sakta hai

Image
Lakh zabt khwahish ke b-shumar daavey hun uss ko bhool jane ke Be panna iradey ho aur uss mohabbat ko tark kar k jeene ka faisla sunane ko kitne lafz soche hon dil ko uski AahaT par barmala dhaRkne se kon rok sakta hai..! "Noshi Gilani Poetry" Noshi gilani urdu poetry

Arahi Hai Teri Yaad

Image
Raat ka pichla peher hai matmi malbus oRhey dard ki in wadiyon se vehshaton ke raston se laRkhaRati Dagmagati ! bal khole ben karti chandni ko sath lekar meri janib chal paRi hai "Aa rahi hai teri yaad " "Wasi Shah Poetry" Urdu Poetry - Urdu Shayri - Urdu Ghazal - Urdu Poems

Dil Ki Dunya Agar ujar jaye

Image
Dil ki dunya agar ujaR jaye' mushkilon se basai jati hai dilko sachi khushi nahi milti Eid rasmun nibhaei jati hai "Urdu Eid Poetry" Eid urdu poem

Chandni Mahtab Ki Ho gi

Image
Tum Aao ge to taskeen is dil-e-b-taab ki hogi hazaron gul khile ge chandni mahtab ki hogi wahi lamha humara eid ban kar jagmagae ga atta tabeer jis dum ik sunehre khwab ki hogi 'Collection Of Eid Poetry' Eid poetry in urdu

Aaj Eid Humaray Des Main Hai

Image
Aaj Eid humaray des main hai Meri dua hai k wo Aa jaye.. Jo Aaj kahein pardes mein hai ! "urdu Eid Poetry" Eid urdu poem

Ayi Hai Eid Aaj Bhi

Image
Ayi Hai  Eid Aaj Bhihar saal ki tarah par yuo ke ju tarab ka koi silsila na ho pichle baras tha khoaf tujhe kho na du kahein ab ke baras dua hai tera samna na ho "Eid Poetry" Eid shayari in urdu

Ye Eid Ka Chand hai

Image
Ek madham si roshni nazar Aayi Aasman par logo'n ne kaha k ye eid ka chand hai par laga mujhko wo mukhRa tera..! 'Eid urdu Poetry' Urdu Poetry in urdu

Rishta Tor ke jane wale

Image
(Eid Card) 'Rishta Tor ke jane wale' Mujhko choR kar jane wale ab ki eid par mujhko jitne carD mile un carDon mein sab se pyara sab se achha pehla card tumhara hai Mujhko choR kar jane wale zara kaho to ye kis taraf ishara hai..! 'Collection Of Eid Poetry' Best eid poetry

Phir eid aane wali hai

Image
Kitni eidei guzar gai tum bin ab khuda k liye na taRpana Dekho ! Phir eid aane wali hai Eid ke saath tum bhi Aa jana ..! "Eid Poetry" Best urdu eid poetry

Kuch Yadgar-E-Shahar-E-Sitamgar Hi Le Chalen

Image
kuch yadgar-e-shahar-e-sitamgar hi le chalen aye hain is gali main to pathar hi le chalen yun kis tarah katega kari dhup ka safar sar par khayal-e-yar ki chadar hi le chalen ranj-e-safar ki koi nishani to paas ho thori si khak-e-kucha-e-dilbar hi le chalen ye kah k cherti hai hamain dilgiraftagi ghabra gaye hain ap to bahar hi le chalen is shahar-e-becharag main jayegi tu kahan a ai shab-e-firaq tujhe ghar hi le chalen "Nasir Kazmi" Nasir kazmi urdu poetry

Main kachi neend main hu

Image
Main kachi neend main hun aur apne nrrm khwabeeda tanafus mein utarti chandni ki chaap sunti hu gumaan hai Aaj bhi shayad mere mathey pe tere lab sitare sabaat karte hain...! "Parveen Shakir" Urdu Poetry - Urdu Shayri -Urdu Poems

Janay Se Pehlay

Image
"I Will Miss You" Jane se pehle uss ne mere Aanchal se ek fiqra bandh diya I will miss you sara safar khushboo mein basa raha "Parveen Shakir Poetry" Urdu Poetry - Urdu Shayri - Urdu Ghazal - Urdu Poems

Dairon Main Chaltay Hain

Image
Dairon main chaltay hain' dairon mein chalne se dairey to baRhte hain fasley nahi ghaTtey Aarzoo'en chalti hain! jis taraf ko jate hain manzilen tamana ki saath saath chalti hain, gard uRhti rehti hai dard baRhta rehta hai raastey nahi ghaT'tey "Amjad Islam Amjad Poetry" Urdu PoetryBy Amjad islam amjad

Mohabbat Aesa Darya Hai

Image
Mohabbat aesa darya hai' ke barish rooTh bhi jaye to pani kam nahi hota...! 'Amjad Islam Amjad Poetry' Amjad islam amjad Urdu Poem

Zindagi ke melay main

Image
Zindagi ke melay main' khwahishon k relay mein. tum se kya kahen jana... "Amjad Islam Amjad Poetry" Amjad islam amjad urdu poem