Posts

Showing posts from March, 2014

Ab kis se kahen or kon suney

Image
Ab kis se kahen or kon suney jo haal tumhare baad huwa Is dil ki jheel si aankhon mein ik khuwab bohot barbad huwa Ye hijar hawa bhi dushman hay us naam ke saare rangon ki Wo naam jo mere honton per khushbu ki tarah aabad  huwa Us sheher ke kitne chehre thay kuch yaad nahi sab bhool gaye Ik shakhs kitabon jesa tha wo shakhs zabani yaad huwa Wo apne gaon ki galyan thi dil jin mein nachta phirta tha Ab is se farq nahi parta na-shaad huwa ya shaad huwa Be-naam staish rehti thi in gehri sanwli aankhon mein Aisa to kabhi socha bhi na tha dil ab jitna be-daad huwa "Noshi gilani Poetry" poetry of noshi gilani

Apni ruswai tere naam ka charcha dekhun

Image
apni ruswai tere naam ka charcha dekhun ek zara sher kahun aur me kya kya dekhun neend aa jaey tou kya mehfilen barpa dekhun ankh khul jaey tou tanhai ka sehra dekhun sham bhi ho gai dhundla gaeen ankhen meri bhooleny waley me kab tak tera rasta dekhun sab ziden es ki me poori karun har baat sunuu ek bachey ki tarha sey esey hansta dekhun mujh pe chha jaey jo barsaat ki khushbu ki tarha ang ang apna isi rutt me mehkta dekhun tu meri tarha sey yakta hai magr mery habib ji me ataa hai koi aur bhi tujh sa dekhun me ney jis lamhey ko pooja hai esey bas ek baar khwab ban kr teri ankho me utarta dekhun tuu mera kuch nahi lagta hai magr jan e hayat janey kyun tere lye dil ko dharakta dekhun "parveen shakir-best urdu poetry" parveen shakir urdu shayari

Khuli aankhon se sari umar dekha

Image
Khuli aankhon se sari umar dekha Khuli aankhon se sari umar dekha ik aesa khwab jo apna nahi tha hai amjad aaj bhi wo shakhs dil mein jo uss waqt bhi mera nahi tha "4 line Urdu Poetry" 4 line urdu poetry pics

Wo ja chuka hai

Image
Wo ja chuka hai magar judai se qabal ka Ek nurm lamha Theher gaya hai Meri hatheli ki pusht par Zindagi mein ! Pehli ka chand ban kar... "Urdu Poetry" parveen shakir urdu poetry

Tere bin jab bhi ho gai barish

Image
Tere bin jab bhi ho gai barish meri aankhen bhigo gai barish patta patta chaman ka khushk huwa reg zaron mein kho gai "Barish poetry Urdu poetry" Barish barsat urdu poetry

Yeh soch kar ke gham ke kharidar

Image
Yeh soch kar ke gham ke kharidar aa gaye Hum khwab bechney sar-e-bazar aa gaye Ab dil mein hosla na sakat bazuon mein hai ab   ke  muqabiley  pe  mere   yaar aa  gaye "ahmed faraz poetry in urdu" Ahmed faraz poetry in urdu

Samne ji sanbhal kar rakhna

Image
Samne ji sanbhal kar rakhna Phir wahi apna haal kar rakhna Aa gaye ho to iss kharabe mein ab qadam dekh bhal kar rakhna "Rasa chughtai urdu poetry" rasa chughtai poetry in urdu