Ik shakhs dilruba sa

Barson ke baad dekha 'Ik shakhs dilruba sa'
ab zehen mein nahi hai par naam tha bhala sa

abru khichey khichey se aankhen jhuki jhuki si
baaten ruki ruki si leja thaka thaka sa

alfaz they ke jugnoo awaz ke safar mein
ban jaye jangalo'n mein jis tarah raasta sa

khwabon mein khwab uske yaadon mein yaad uski
neendon mein ghul gaya ho jese ke ratjaga sa

pehley bhi log aaye kitne hi zindagi mein
wo har tarah se lekin auron se tha juda sa

agli mohabbaton ne wo namuradian die,n
taaza rafaqaton se dil tha dara dara sa
"ahmed faraz poetry"

ahmed faraz Urdu Poetry
Ahmad faraz urdu shayari

Comments

Popular posts from this blog

Wo Aksar Mujhse Kehti Thi