Mujh se juda ho jana

Beniyaaz-e-gham-e-paimaan-e-wafa ho jana
tum bhi auron ki tarah mujh se juda ho jana

mein bhi palko'n pe sajao'n ga lahoo ki boonden
tum bhi pabastaye zanjeer-e-hina ho jana

garchay ab qurb ka imkaa'n hai bohat kam phir bhi
kahie'n mil jayen to tasweer numa ho jana

sirf manzil ki talab ho to kaha'n mumkin hai
doosro'n ke liye khud aabla pa ho jana

khalq ki sang zani meri wafao'n ka sila
tum to massom ho tum door zara ho jana

ab mere wastay taryaq hai alhaad ka zeher
tum kisi aur pujari ke khuda ho jana
'Ahmad Faraz Poetry'
ahmed faraz Poetry in Urdu
Ahmed faraz urdu poetry

Comments

  1. MY DEAR, ITS NOT AHMED FARAZ POETRY. YEH "PERWEEN SHAKAR" KI GHAZAL HAI....

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

Wo Aksar Mujhse Kehti Thi