Dukh Fasana Nahi Ke
Dukh fasana nahi ke tujh se kahen'
dil bhi mana nahi, k tujh se kahen'
aaj tak apni bekali ka sabab'
khud bhi jana nahi k tujh se kahen'
be tarah haal-e-dil hai aur tujh se'
dostaana nahi ke tujh se kahen'
ek tu harf-e-aashna tha magar'
ab zamana nahi ke tujh se kahen'
qaasid hum faqeer logo'n ka'
ik thikaana nahi ke tujh se kahen'
ae khuda dard-e-dil hai bakhshish-e-dost'
Aab-o-dana nahi k tujh se kahen'
"Ahmed faraz urdu poetry"
dil bhi mana nahi, k tujh se kahen'
aaj tak apni bekali ka sabab'
khud bhi jana nahi k tujh se kahen'
be tarah haal-e-dil hai aur tujh se'
dostaana nahi ke tujh se kahen'
ek tu harf-e-aashna tha magar'
ab zamana nahi ke tujh se kahen'
qaasid hum faqeer logo'n ka'
ik thikaana nahi ke tujh se kahen'
ae khuda dard-e-dil hai bakhshish-e-dost'
Aab-o-dana nahi k tujh se kahen'
"Ahmed faraz urdu poetry"
Ahmad faraz urdu poetry |
Comments
Post a Comment