Aankhon mein bas gaya phir tu

Hui hai shaam to aankhon mein bas gaya phir tu
kahaan gayaa hai, mere sheher ke musaafir tu

meri misaal ke ik nakhl-e-khushk sehra hoo'n
tera khayaal ke shakh-e-chaman ka tahir tu

mein janta hu'n ke dunya tujhe badal de gi
mein manta hu'n ke aesa nahi bazahir tu

hansi khushi se bichar ja agar bicharna hai
ye har maqaam pe kya sochta hai aakhir tu

faza udaas hai dil muzmahal hai mein chup hu'n
jo ho sake to chala aa kisi ki khatir tu

faraz tu ne usse mushkilo'n mein daal dia
zamana sahib-e-zar aur sirf shaa'ir
"Ahmed faraz shayari"
ahmad faraz urdu shayari
Ahmad Faraz Urdu Poetry

Comments

Popular posts from this blog

Wo Aksar Mujhse Kehti Thi