Ab k Bichhar k usko

Jo bhi droon-e-dil hai who bahir na aaye ga
ab aagahi ka zeher, zuban par na aaye ga

ab k Bichhar k usko nidamat hai isqadar
ji chahta bhi ho to, palat kar na aaye ga

yoo'n phir raha hai kanch ka pekar liye hue
zalim ko ye gumaa'n hai ke pathar na aaye ga

phir bo raha hai aaj unhe'n sahilo'n pe phool
phir jese moj mein ye samadar na aaye ga

mein jaa'n be lab hu'n tark-e-taaluq ke khof se
wo mutmayin me harf to us par na aaye ga
"ahmed faraz sad poetry"
ahmed faraz poetry in urdu
Ahmad faraz Urdu Poetr

Comments

Popular posts from this blog

Wo Aksar Mujhse Kehti Thi