Chup chap apni aag mein jalte raho

Kia aese kam sukhan say koi guftgoo kare
jo mustaqil sukoot say, dil ko lahoo kare

ab to humen bhi tark-e- marasim ka dukh nahi
par dil ye chahta hai ke agaaz tu kare

tere bager bhi to ganeemat hai zindagi
khud ko ganwa ke kon teri justajoo kare

ab to ye aarzoo hai ke wo zakham khaiey
ta zindagi ye dil na koi aarzoo kare

tujh ko bhula ke dil hai wo sharmindae nazar
ab koi haadsa hi tere ru baroo kare

chup chap apni aag mein jalte raho faraz
dunya to arz-e-haal se be aabroo kare
"ahmed faraz urdu poetry"
ahmed faraz sad urdu poetry
faraz urdu shayai

Comments

Popular posts from this blog

Wo Aksar Mujhse Kehti Thi