Phir Aaj Dukh Bhi Ziyada Hai

Na tera qurb na bada hai kya kiya jaye'
phir Aaj Dukh Bhi Ziyada Hai, Kya Kiya jaye

jaye humen bhi arze tamana ka dhab nahi aata
mizaje yaar bhi sada hai kya kiya jaye

kuch apne dost bhi tarkash badosh phirte hain
kuch apna dil bhi kushada hai kya kiya jaye

wo meherba'n hai magar dil ki hiras bhi kam ho
talab karam se ziaada hai kya kiya jaye

na us se tark-e-taaluq ki baat kar payen
na hamdami ka irada hai kya kiya jaye

salook-e-yaar se dil tootne laga hai faraz
magar ye mehfil-e-aada hai kya kiya jaye
"Ahmed Faraz udu Poetry"
ahmad faraz Urdu Poetry
faraz urdu poetry

Comments

Popular posts from this blog

Wo Aksar Mujhse Kehti Thi