Mein khud ko bhool gaya

Phira hu'n sare zamane mein dar badar kesa
mein tere bad bhi zindah raha, mager kesa

wo janta tha ke kuch roz wo nahi tha to mein
pukarta raha usko idhar udhar kesa,

na aetabaar na aasoodgi na qurb tera,
faqat takaluf-e-deewar-o-dar hai ghar kesa

mein jis ke hijar mein roya hu'n pagalo'n ki tarah
wo kal mila to hansa mere haal par kesa

azeez tar thi jisay neend shaam-e-wasal mein bhi
wo tere hijar mein jaga hai umar bhar kesa

bus ek shakhs ki khatir bus ek dil ke liye
watan ko taj dia deewangi mein har kesa

kahan ki dosti kesa firaq kon "faraz"
mein khud ko bhool gaya tujh ko bhool kar kesa
"ahmad faraz best poetry"
ahmed faraz Urdu Poetry
Ahmad faraz shayari

Comments

Popular posts from this blog

Wo Aksar Mujhse Kehti Thi