Garmie hasrate nakam se Jal jatay hain

Garmi-e-hasrat-e-nakam se jal jate hain
Hum charagon ki tarah sham se jal jate hain

Bach nikaltay hain agar atish-e-sayyad se
Hum Shola-e-atish-e-gulfam se jal jate hain

khud-numai to nahi shewa-e-arbab-e-wafa
Jin ko jalna ho wo aram se jal jate hain

Shama jis aag mein jalti hai numaish k liye
Hum usi aag mein gumnam se jal jate hain

Jab bhi ata hai mera nam tere nam ke sath
Jane kyun log mere nam se jal jate hain

Rabta baham pe hamein kya na kahen gay
dushman ashna jab tere paigam se jal jatay hain
"Qateel Shifai Poetry"
qateel shifai best Urdu Poetry
Urdu Poetry Of qateel shifai

Comments

Popular posts from this blog

Wo Aksar Mujhse Kehti Thi