Jaga sake na tere lab
Jaga sake na tere lab,lakeer aesi thi
Hamare bakhat ki lakeer bhi Meer aesi thi.
Ye haath choome gaye,phir bhi be-gulaab rahe
Jo rut bhi aai,khizaa'n ki safeer aesi thi.
Wo mere paaown ko chhoone laga tha jis lamhe
Jo maangta use deti,ameer aesi thi.
Shahaadaten mere haq main tamaam jaati thee'n
Magr khamosh thay munsif nazeer aesi thi.
Kutr k jaal bhi,sayaad ki raza k bagair
Tamam umer na urrTi,aseer aesi thi.
Bas ik nigah mujhe deta,chala jata
Us aadmi ki mohabbat faqeer aesi thi.
"Parveen Shakir Poetry"

Urdu Poetry - Urdu Shayri - Urdu Ghazal - Urdu Poems |
Comments
Post a Comment