Kuch Yadgar-E-Shahar-E-Sitamgar Hi Le Chalen

kuch yadgar-e-shahar-e-sitamgar hi le chalen
aye hain is gali main to pathar hi le chalen

yun kis tarah katega kari dhup ka safar
sar par khayal-e-yar ki chadar hi le chalen

ranj-e-safar ki koi nishani to paas ho
thori si khak-e-kucha-e-dilbar hi le chalen

ye kah k cherti hai hamain dilgiraftagi
ghabra gaye hain ap to bahar hi le chalen

is shahar-e-becharag main jayegi tu kahan
a ai shab-e-firaq tujhe ghar hi le chalen
"Nasir Kazmi"
nasir kazmi Poetry in urdu
Nasir kazmi urdu poetry

Comments

Popular posts from this blog

Wo Aksar Mujhse Kehti Thi