Dil tha ke Khush Khayaal tujhe dekh kar hua

Dil tha ke khush khyaal tujhe dekh kar hua
ye shehar be-misaal tujhe dekh kar hua.

Apne khilaf shehar ke andhe hujoom mein,
dil ko bohut malaal tujhe dekh kar hua.

Tool-e shab-e firaaq teri khair ho ki dil,
amaada-e visaal tujhe dekh kar hua.

Ye hum hi jaante hain judaai ke mod par,
iss dil ka jo bhi haal tujhe dekh kar hua.

Aayi na thi kabhi mere lafzon mein roshani,
aur mujh se ye kamaal tujhe dekh kar hua.

Bichhde to jaise zehan muattal sa ho gaya,
shehar-e sukhan bahaal tujhe dekh kar hua.

Phir log aa gaye mera maazi kureedne,
phir mujh se ek sawal tujhe dekh kar hua!
"Noshi Gilani Poetry"
noshi gilani urdu poetry
noshi gilani poetry in urdu

Comments

Popular posts from this blog

Wo Aksar Mujhse Kehti Thi