Jab tassavur mera chupke se

Jab tassavur mera chupke se tujhey choo aaye
Meri har saans sey mujhko teri khushboo aaye

Mashghala ab hai mera chaand ko taktay rehna
Raat bhar chain na mujhko kisi pehloo aaye

Jab kabhi gardish-i-dauraan ney sataya mujhko
Meri janib terey phailay huway baazoo aaye

Jab bhi socha keh shab-e-hijr na ho gi roshan
Mujhko samjhanay teri yaad k jugnoo aaye

Kithna hassaas meri aas ka sannata hai
Ke khamoshi bhi jahan baandh k ghungroo aaye

Us k lehjey ka asar to hai barri baat Qateel!
Wo to aankhon sey bhi karta huwa jadoo aaye
"Qateel Shifai Poetry"
best poetry of qateel shifai
qateel shifai urdu poetry

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

Wo Aksar Mujhse Kehti Thi