Labon pe phool khilte hain

Labon pe phool khilte hain kisi ke naam se pehle
dilon ke deep jalte hain charagh-e-shaam se pehle

kabhi manzar badalne par bhi qissa chal nahi pata
kahani khatam hoti hai kabhi anjaam se pehle

yahi taare tumhari aankh ki chilman mein rehte hain
yahi sooraj nikalta hai tumhare baam se pehle

dilon ki jagmagati bastyan taraaj karte hain
yahi jo log lagte hain nehayat aam se pehle

hui hai shaam jangal mein parinde lot'te honge
ab unko kis tarah roken nawahe daam se pehle

ye saare rang murda thay tumhari shakal banne tak
ye saare harf mehmal thay tumhare naam se pehle

hua hai wo agar munsif to "amjad" ehtiyatan hum
saza tasleem karte hain kisi ilzaam se pehle
"Amjad islam amjad urdu poetry"
amjad islam amjad Urdu Poetry
urdu poetry amjad islam amjad

Comments

Popular posts from this blog

Wo Aksar Mujhse Kehti Thi