Teri khushboo nahi milti
Teri khushboo nahi milti tera lehja nahi milta
Hamain to shaher men koi terey jaisa nahi milta
Yeh kesi dhund men ham tum safar aaghaz kar baithay
Tumhain aankhain nahi milti hamain chehra nahi milta
Har ik tadbeer apni raayegaan thehri mohabbat men
Kisi bhi khawab ko tabeer ka rasta nahi milta
Bhala us k dukhon ki raat ka koi madawa hai
Wo maa'n jis ko kabhi khoya hua bacha nahi milta
Zamanay ko qarinay sey who apney sath rakhta hai
Magar merey liye us ko koi lamha nahi milta
Musafat men dua-e- abr un ka sath deti hai
Jinhain sehra k daaman men koi darya nahi milta
Jahan zulmat ragon men apney panjay gaar deti hai
Usi tareek rastey par diya jalta nahi milta
"Noshi Gilani Poetry"

noshi gilani poetry in urdu |
Comments
Post a Comment