Usko Dekhe Saal Hue Hain

Usko dekhe saal hue hain
Saare khwab khayal hue hain

Mosam  phir barsat ka  aaya
Saare  dard bahaal hue hain

Bheeg  na jaye  mera  daman
Badal  kale  baal  hue hain

Khwabon jaisi  zulfain uski
Aur tabeerain gaal hue hain

Uska roop  aur meri Aankhen
Saare manzar  laal hue hain

Charon janib aawazain  hain
Dil ke dard ghazal hue hain

Batain uski  shayr  humaare
Ye bhi saad kamal hue  hain
"Saadullah Shah Poetry"
Saadullah Shah poetry in urdu
Urdu Poetry_Saadullah Shah
"Collection Of Urdu Poetry"

Comments

Popular posts from this blog

Wo Aksar Mujhse Kehti Thi