Bhanwar Ki God Main Jaisay Kinara
'Bhanwar ki god main jaisay kinara'saath rehta hai
kuch aisay hi tumhara aur humara saath rehta hai
mohabbat ho ke nafrat ho, ussi se mashwara hoga
meri har kefiat mein istakhara saath rehta hai
safar mein aen mumkin hai mein khud ko chor du'n lekin
duaen karne walo'n ka sahara saath rehta hai
mere mola ne mujhko chahato'n ki saltanat de di
magar pehli mohabbat ka khasara saath rehta hai
agar sayad mere lab par mohabbat hi mohabbat hai
to phir ye kis liye nafrat ka dhara saath rehta hai
"Wasi shah shayari"

Urdu Poetry - Urdu Shayri - Urdu Ghazal - Urdu Poems |
Comments
Post a Comment