Hijar Ko Dhoond Ke Lana Hai Abhi

Hijar ko dhoond ke lana hai abhi'
aur ik hashar uthana hai abhi

ye wahi dil hai tumhare wala
ye wahi shehar purana hai abhi

ye jo mojood zamana hai abhi
teri yaado'n ka nishana hai abhi

ik zara thehro mere hum nafso
bus abhi deep bujhana hai abhi

mere daman mein tere dard ke baad
ek se ek khazana hai abhi

is tere ishq mein mar jane ka
ik chiragh aur jalana hai abhi

mujh ko maloom hai mere mola
mein ne is dunya se jana hai abhi
"Farhat abbas shah"
farhat abbas shah sad urdu poetry
Urdu Poetry of fahat abbas shah

Comments

Popular posts from this blog

Wo Aksar Mujhse Kehti Thi