Jurm E Inkaar Ki Saza Hi De

Jurm-e-inkaar ki saza hi de'
mere haq main bhi, kuch sunaa hi de

shoq main hum nahi zyada talab
jo tera naz-kam nigah hi de

tu ne taro'n se shab ki mang bhari
mujh ko ik ashk-e-subhgai de

tu ne banjar zamee'n ko phool diye
mujh ko ik zakhm-e-dil kusha hi de

bastiyo'n ko diye hain tu ne chiragh
dasht-e-dil ko bhi koi rahi de

umar bhar ki nawa giri ka silla
ae khuda koi hum nawa hi de

zard ro hain waraq khayalo'n ke
ae shab-e-hijar kuch siyahi de

gar majal-e-sukhan nahi nasir
lab-e-khamosh se gawahi de
"Nasir kazmi poetry"
nasir kazmi Urdu Poetry
Nasir kazmi shayari in urdu

Comments

Popular posts from this blog

Wo Aksar Mujhse Kehti Thi