Kari Hai Dhoop Bohat
Kari hai dhoop bohat' rahe khaar khaar ke saath
nikal pare hain magar, hum tumhare pyar ke saath
likha hai toot hi jana agar muqadar mein
to ye bhi tay hai ke toote gein hum waqar ke saath
humara saath nahi saath baat lamho'n ki
azal ka saath abad tak hai aetabaar ke saath
na tor paye gi dunya ki koi rusm usay
humara dard ka rishta hai aur pyar ke saath
ae dil ye tay hai tujhe beqarar rehna hai
kisay mila hai bhala dard-e-dil qarar ke saath
jinhe azeez hai ab khudkashi ka zikar bohat
khizaa'n bhi dil se lagate they jo bahaar ke saath
"Farhat shahzad"

Farhat shahzad urdu poetry |
Comments
Post a Comment