Mila khushboo ko gul ka rasta

Mila khushboo ko gul ka rasta ahista ahista
bani uski rifaqat ki fiza ahista ahista

ye khamoshi to mere dil ki deewaren hila de gi
mohabbat ho na ho par lab hila ahista ahista

achanak shakh-e-dil teri kahi,n veera'n na ho jaye
parinde apni yaado'n ke ura ahista ahista

ye socha tha ke zakhm-e-dil badan main phel jaye ga
magar tu ne madawa kar dya ahista ahista

achanak samne pa kar kahi'n sansen na ruk jaye
meri aankhon se haath apne hatta ahista ahista

bas ik tere khayal-o-khwab ka jugnoo tha wo bhi
meri aankhon se ojhal ho gaya ahista ahista

meri aankhon ki barish tham gai tab asmano'n par
teri chahat ka hala ban gaya ahista ahista
"Noshi gilani poetry"
noshi gilani Urdu Poetry
Urdu Poetry - Urdu Shayri - Urdu Ghazal - Urdu Poems

Comments

Popular posts from this blog

kachi umar ke khwab