Phir ek baar tujhi se sawal karna hai
Phir ek baar tujhe se sawal karna hai
nigah main tera mansab, bahaal karna hai
lahoo se seench dia aur phir ye tay paaya
isi gulab ko ab payemal karna hai
us ek marham-e-no roz-o-lamse taaza se
purane zakhmo'n ka bhi indamal karna hai
ye gham hai aur mila hai kisi ke dar se humen
so is shajar ki bohat dekh bhaal karna hai
bhula ke wo humen heraa'n hai to kya ke abhi
issi tarah ka humen bhi kamal karna hai
"Parveen shakir"

Urdu Poetry - Urdu Shayri - Urdu Ghazal - Urdu Poems |
Comments
Post a Comment