Rakht E safar bhi bhool gaye

Yeh kesa khauf  tha rakht-e-safar bhi bhool gaye
woh kaun log thay jo apne ghar bhi bhool gaye

ye kesi quwat-e-parwaz, dar ne peda ki,
parinde urte hue apne par bhi bhool gaye

dukho'n ne chheen li aankho'n ki sari beenai
hum uska sheher kya rah-e-guzar bhi bhool gaye

khayal tha ke sunaen ge haal-e-dil lekin
hum uske samne arz-e-hunar bhi bhool gaye

juda hue to khula hai tumhari basti mein
hum ek dil hi nahi chashm-e-tar bhi bhool gaye
"Noshi gilani shayari"
noshi gilani poetry in urdu
Urdu Poetry by noshi gilani

Comments

Popular posts from this blog

Wo Aksar Mujhse Kehti Thi