Raston Pe Ja Nikle

Banne banae huwe raston pe ja nikle'
ye hamsafar mere kitne gurez paa nikle

chale thay aur kisi raste ki dhun main magar
hum itafaq se teri gall main Aa nikle

gham-e-firaq main kuch der ro hi lene do
bukhar kuch to dil-e-beqarar ka nikle

naseehaten humen karte hain tark-e-ulfat ki
ye kher khwah humare kidhar se Aa nikle

ye khamshi to rag-o-pe main ruch gai nasir
wo naala kar ke dil-e-sang se sadda nikle
"Nasir kazmi poetry"
nasir kazmi urdu shayari
Poetry of nasir kazmi

Comments

Popular posts from this blog

Wo Aksar Mujhse Kehti Thi