Sahab tha ke sitara
Sahab tha ke sitaara gurez paa hi laga
wo apni zaat ke har rang mein juda hi laga
mein aese shakhs ki masoomiat pe kya likhu'n
jo mujhko apni khatao'n mein bhi bhala hi laga
zubaa'n se chup hai magar aankh baat karti hai
nazar uthai hai jab bhi to bolta hi laga
jo khwab dene par qadir tha meri nazro'n mein
azaab dete hue bhi mujhe khuda hi laga
na mere lutf par heraa'n na apni uljhan par
mujhe ye shakhs to har shakhs se juda hi laga
"Parveen shakir shayari"

Urdu Poetry - Urdu Shayri - Urdu Ghazal - Urdu Poems |
Comments
Post a Comment