Hoti Hai Tere Naam Se Wehshat Kabhi Kabhi

Hoti hai tere naam se wehshat kabhi kabhi'
barham hui hai yu'n bhi, tabiyat kabhi kabhi

ey dil kise naseeb ye taufeeq-e-iztiraab
milti hai zindagi main ye rahat kabhi kabhi

tere karam se ae alam-e-husan-e-afree'n
dil ban gaya hai dost ki khilwat kabhi kabhi

josh-e-junoo'n mein dard ki tugyanio'n ke saath
ashko'n mein dhul gai teri surat kabhi kabhi

tere qareeb reh ke bhi dil mutmain na tha
guzri hai mujhe pe ye bhi qayamat kabhi kabhi

kuchh apna hosh tha na kuchh tumhara khayal tha
yoo'n bhi guzar gai shab-e-furqat kabhi kabhi

ae dost humne tark-e-mohabbat ke bawajood
mehsoos ki hai teri zaroorat kabhi kabhi
"Nasir kazmi poetry"
nasir kazmi Poetry in urdu
Nasir kazmi poetry in urdu

Comments

Popular posts from this blog

kachi umar ke khwab