Mein Bhi Kitna Pagal Hoo Na

'Main bhi kitna pagal hoo na'
jab bhi raat ko ghar aata hoon
apne darwaze pe dastak dete Lamhe
aksar meri soch ye mujh se kehti hai
aaj tu darwaza khole gi
mujh ko dekh ke muskae gi
mera matha choome gi
sharmaye gi _ _ _ !
ghar main dakhil ho kar main bhi koi shararat kar donga
tu khud main simat kar reh jaye gi
main bhi kitna pagal hoo na
kya kya socha karta hoon
main bhi kitna pagal hoo na !!!
"Wasi shah poetry"
wasi shah-Urdu Poetry-Urdu Shayri-Urdu Ghazal-Urdu Poem
Urdu Poetry - Urdu Shayri - Urdu Ghazal - Urdu Poems

Comments

Popular posts from this blog

kachi umar ke khwab