Muddat Se Dil o Jaan Main
Muddat se dil o jaan main' ajab shor bappa hai
ik shakhs juda ho ke bhi, yaado'n main basa hai
sadyon se mera ishq jisse dhoond raha hai
herat hai wahi shakhs mere saath khara hai
jo aankh milane ki ijazat nahi deta
dil usko nigaho'n mein basane ko tulla hai
jo apne hi halaat ko suljha na saka wo
bigrai hui taqdeer banane ko chala hai
saye mein shajar ke na kabhi mujh se mila wo
ab dhoop mein dekho to mere saath khara hai
dastak si dar-e-dil pe dia karta tha aksar
aaj apne hi andar wo kahin ja ke chhupa hai
jis shakhs ko kehtay they sharafat ka namoona
wo aaj mere samne faqo'n se mara hai
"Best Urdu Poetry"

Best Urdu Poetry |
Comments
Post a Comment