Gumsum hua Awaaz ka darya tha jo ik shakhs

Gumsum hua awaaz ka darya tha, jo ik shakhs'
Pathar bhi nhe ab, wo sitara tha jo ik shakhs

shayad wo koi harf-e-wafa dhoond rha tha,
chehron ko baday ghaur se parhta tha jo ik shakhs

sehra ki tarah der se payaasa tha wo shayad
badal ki tarah toot ke barsa tha jo ik shakhs

ae tez hawa koi khabar uske junoo'n ki
tanha safar-e-shoq pe nikla tha jo ik shakhs

ab aakhri satron mein kahin naam hai uska
ahbaab ki fehrist mein pehla tha jo ik shakhs

haathon mein chupaye hue phirta hai kaei zakham
sheeshay ke khilonon se behelta tha jo ik shakhs
"Mohsin naqvi poetry"
Mohsin naqvi urdu poetry
Urdu Poetry of mohsin naqvi

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

Wo Aksar Mujhse Kehti Thi