Jab bhi kehta hoon koi taaza ghazal tere liye

mere ehsas me khilte hain kanwal tere liye,
janta hoon k mera dushman-e-jaan hai phir bhi,
dil ki har baat pe karta hu'n ammal tere liye,
dushmani youn to kisi se bhi nahi hai meri,
sirf haalat se hai jang-o-jadal tere liye,
aankh jamna hai meri is ke kinare aaja,
mein ne banwaya hai ik taj mehal tere liye,
apna ghar gor se dekha hi nahi tu ne qateel,
ye to dunya mein hai jannat ka badal tere liye,
"Qateel shifai"

Urdu Poetry of qateel shifai |
Comments
Post a Comment