Raah mein hayal to rahoon ga
Pathar hi sahi 'raah mein hayal to rahu'n ga'
kuch dair tera mud-e-muqabal tu rahu'n ga
jab tak teri bakhshish ka bharam khul nahi jata,
ae meri sakhi mein tera saa'il to rahu'n ga,
is wastay zinda hu'n sar-e-maqtale yaara'n,
wabistae kam zarfi-e-qatil to rahu'n ga,
ae tez hawa mera dhuwa'n dekh ke jana,
bujh kar bhi nishan-e-rahe manzil to rahu'n ga,
dushman hi sahi naam to lega mera tu bhi,
you'n mein teri awaz mein shamil to rahu'n ga,
jab tak mein bagawat na karoo'n jabr-o-sitam se,
zinda mein hu paband-e-salasal to rahu'n ga,
mohsin zad-e-aada se agar mar bhi gaya tu,
mayyar-e -tameez-e-haq-o-batil to rahu'n ga,
"Mohsin naqvi poetry"

Urdu Poetry - Urdu Shayri - Urdu Ghazal - Urdu Poem |
Comments
Post a Comment