Ujray hue logo se guraizan na hua kar

Ujray hue logo se guraizan na hua kar'
haalat ki qabron k yeh qutbay bhi parha kar

kya janiye kyo'n tez hawa soch mein gum hai
khwabeda parindo', ko darakhto'n se ura kar

us shakhs ke tum se bhi marasim hain to honge
woh jhoot na bole ga mere samnay aakar

ab dastaken de ga tu kaha'n ae ghame ahbab
mein ne to kaha tha ke mere dil mein rah kar

har waqt ka hansna tujhe barbad na kar de
tanhai ke lamho'n mein kabhi ro bhi liya kar

woh aaj bhi sadyo'n ki musafat pe khara hai
dhoonda tha jisay waqt ki deewar gira kar

barham na ho kam fehmi ko teh nazra', par
ae qamat-e-fun apni bulandi ka gilla kar

ae dil tujhe dushman ki bhi pehchan kaha'n hai
tu halqaye yaara'n mein bhi muhtat raha kar

mein mar bhi chuka mil bhi chuka moj-e-hawa mein
ab ret ke seenae pe mera naam likha kar

pehla sa kahan ab meri raftar ka aalam
ae gardish-e-dora'n zara tham tham ke chala kar

is rut mein kaha'n phool khilen ge dil-e-nada'n
zakhmo'n ko hi wabistaye zanjeer-e-saba kar

ik rooh ki faryad ne chonka dia mujh ko
tu ab to mujhe jisam ke zinda'n se reha kar

is shab ke muqadar mein sahar hi nahi mohsin
dekha hai kai bar chirago'n ko bujha kar
"Mohsin naqvi"
Mohsin naqvi sad urdu poetry
Mohsin naqvi urdu shayari

Comments

Popular posts from this blog

Wo Aksar Mujhse Kehti Thi