Chara gar haar gaya ho jaise

Chara gar haar gaya ho jaise
ab to marna hi dawa ho jaise

mujh se bichra tha woh pehle bhi magar,
ab ke ye zakham naya ho jaise

mere mathay pe tere pyar ka haath,
rooh par dast-e-sabba ho jaise

yoo'n bohat hans ke mila tha lekin,
dil hi dil mein wo khaffa ho jaise

sar chhupayen to badan khulta hai,
zeest muflis ki rida ho jaise
"Parveen shakir"
sad urdu poetry of Parveen Shakir
Urdu Poetry - Urdu Shayri - Urdu Ghazal - Urdu Poems

Comments

Popular posts from this blog

Wo Aksar Mujhse Kehti Thi