Kalyon Ki Mehak Hota Taron ki Ziaa Hota
Kalyon ki mehak hota taron ki ziaa hota
mein bhi tere gulshan ke phoolon ka khuda hota,
har cheez zamane ki, aaeyna-e-dil hoti,
khamosh mohabbat ka itna to silla hota,
tum haal-e-paresha'n ki pursish ke liye aate,
seharaiy tamana mein mela sa laga hota,
har gaam pe kam aate zulfo'n ki teri saye,
ye qaflaye hasti be rahnuma hota,
ehsaas ki dali par ik phool mehekta hai,
zulfo'n ke liye tumne ik roz chuna hota,
"Saghar siddiqui"

urdu Poetry_Poetry of, saghar siddiqui Urdu Poetry Collection |
Comments
Post a Comment