Khwab Aankhon Mein
ye shokhiaan hain ke taaza gulab aankhon Mein,
chamak rahen hain kai aaftab aankhon mein,
jo dekh lijiye kabhi gor se in aankhon ko,
utarne lagte hain rangeen 'khwab aankhon mein'
bohat chhupaya mere dil ne par numaya raha,
wo aks aks rukh-e-mahtab aankhon mein,
usse khabar na hui hum bhi bekhabar hi rahe,
na jane kaise utar aaye khwab aankhon mein,
mein jagta raha wo bhi na so saka shayad,
hain ratjago'n ke numaya azaab aankhon mein,
har ek harf numaya hai parh sako to parho,
likha hai hijar ka ik ik hisaab aankhon mein,
"Urdu shayari"

Best poetry in urdu |
Comments
Post a Comment