Mohabbat Kam Nahi Ho Gi
Meri aankhin salamat hain,
mera dil mere seenay mein dharkta hai
mujhay mehsoos hota hai
mohabbat kam nahi hogi
mohabbat ek wada hai
jo sachai ki andekhi kisi saa'at mein hota hai
kisi raahat mein hota hai
ye wada shayri ban kar mere jazbo'n mein dhalta hai
mujhay mehsoos hota hai
mohabbat kam nahi hogi
mohabbat ek mosam hai
ke jis mein khwab ugtay hain, to khwabo'n ki hari shakhen
gulabo'n ko bulati hain
inhen khushboo banati hain
ye khushboo jab humari khirkiyon mein, dastaken de kar guzarti hai
mujhay mehsoos hota hai
mohabbat kam nahi hogi
"Urdu poem"

urdu poetry_Poetry of, urdu nazm Urdu Poetry Collection |
Comments
Post a Comment