Meri arz-e- pak par utre
khuda kare ke 'meri arz-e- pak par utre'
woh fasl-e-gul, jise andeishaey zawaal na ho,
yahan jo phool khiley, woh khila rahey sadiyon,
yahan khizaa'n ko guzarne ki bhi majal na ho,
yahan jo sabza ugay wo humesha sabz rahe,
aur aesa sabz ke jiski koi misaal na ho,
ghanni ghatayen yahan aesi barishen barsayen,
ke pathro'n se bhi roedgi muhaal na ho,
khuda kare ke waqar iska ger fani ho,
aur is ke husan ko tashveesh-e-mah-o-saal na ho,
har ek fard ho tehzeeb-o-fun ka oje kamal,
koi malol na ho koi khasta haal na ho,
khuda kare ke meri arz-e- pak par utre,

"Ahmad nadeem qasmi urdu poetry"

ahmad nadeem qasmi urdu poetry |
Comments
Post a Comment