Lab-E khamosh se afsha hoga

Lab-E khamosh se afsha hoga'
raz har rang mein, ruswa hoga,

tum nahi the to sar-e-bam-e-khayal,
yaad ka koi sitara hoga,

kis tawaqa pe kisi ko dekhen,
koi tum sa bhi hassen kya hoga,

zeenatay halqaye aagosh bano,
door betho ge to charcha hoga,

zulmat-e-shab mein bhi sharmate ho
dard chamke ga to phir kya hoga,

jis bhi funkar ka shahkar ho tum,
usne sadyon tumhen socha hog.
"Ahmad nadeem qasmi poetry"
ahmed nadeem qasmi Urdu Poetry
Ahmed nadeem qasmi urdu shayari

Comments

Popular posts from this blog

kachi umar ke khwab