Mere khuda mujhe itna to motabar kar de
Mere khuda mujhe itna to motabar kar de'
mein jis makan mein rahta hun us ko ghar kar de
ye roshni k taqqub mein bhagta hua din
jo thak gaya hai ab is ko mukhtasar kar de
mein zindagi ki dua mangne laga hu'n bohat
jo ho sakay to duao'n ko be-asar kar de
sitarae sehri doobne ko aaya hai
zara koi mere sooraj ko ba khabar kar de
qabeela war kamane karakne wali hain
mere lahoo ki gawahi mujhe nidar kar de
meri zameen mera aakhri hawala hai
so mein rahu'n na rahu'n is ko barwar kar de
mein apne khwab se kat kar jioon to mere khuda
ujaar de meri matti ko dar badar kar de
"Ifthikhar arif"

Iftikhar Arif poetry in urdu |
Comments
Post a Comment