Rasta badalne ke fun se waqif hai

Safar mein 'rasta badalne ke fun se waqif hai'
who shakhs chehra badalne ke fun se waqif hai,

guroor e fatah mein mat bhoolana ke,doosri simt
ganeem dasta badalne ke fun se waqif hai,

ajeeb tajruba guzra ke dasht-e-gurbat mein,
shajar bhi saya badalne ke fun se waqif hai,

hui hai chashm-e-shanasa bhi ajnabi to khula,
ke aankh rishta badalne ke fun se waqif hai,

suni sunai pe ik dum yaqeen mat karna,
ye khalq qissa badalne ke fun se waqif hai,

badalte zaiqay is baat ki shahadat hain,
ke jism naqsha badalne ke fun se waqif hai,

ussi ke paas ab hakoomat hai ab qabeele ki,
ke jo qabeela badalne ke fun se waqif hai,

kisi ko pinjra badalne ka shoq hai rohi,
koi parinda badalne ke fun se waqif hai
"Urdu poetry"
sad poetry in urdu
Best Urdu Poetry

Comments

Popular posts from this blog

Wo Aksar Mujhse Kehti Thi