Titliyan pakarne mein
Titliyan Pakarne Mein Door Tak Nikal Jana
kitna achha lagta hai, phool jaise bachon par
leher leher kirno'n ko cher kar guzarti hai
chandni utarti hai jab shareer jharnon par
dhoop saat rango'n mein phelti hai aankhon par
burf jab pighalti hai uski narm palkon par
phir bahaar ke saathi agaye thikanon par
surkh surkh ghar niklay sabz sabz shakhon par
jism-o-jaan se utray gi gard pichlay mausam ki
dho rahi hai sab chirya'n apnay pankh chashmon par
saari raat sote mein muskara raha tha wo
jaise koi sapna sa kanpta tha honton par
"Parveen shakir"

Urdu Poetry - Urdu Shayri - Urdu Ghazal - Urdu Poems |
Comments
Post a Comment