Aaj bhi shaam udas rahi

Aaj bhi tapti dhoop ka sehra,
tere naram labon ki shabnam,
saye se mehroom raha,
aaj bh pathar hijar ka lamha, sadyon se be khwab ruton ki,
aankhon ka mafhoom raha,
aaj bhi apne wasl ka tara,
rakh urati shokh shafaq ki manzil se madoom raha,
aaj bhi sheher mein pagal dil ko,
teri deed ki aas rahi,
muddat se gum sum tanhai, aaj bhi mere paas rahi,
'aaj bhi shaam udaas rahi'
"Mohsin naqvi poetry"
sad poetry of Mohsin naqvi
Mohsin naqvi urdu poetry

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

Wo Aksar Mujhse Kehti Thi