Ek Diya Dil Mein Jalana Bhi Bujha Bhi Dena
Ek Diya Dil Mein Jalana' Bhi Bujha Bhi Dena,
Yaad Karna Bhi Isse Roz Bhula Bhi Dena,
Kya Kahoon Ye Meri Chahat Hai Ke Nafrat Uski,
Naam Likhna Bhi Mera Likh Ke Mita Bhi Dena,
Phir Na Milne Ko Bichhadti To Hon Tujhse Lekin,
Mud Ke Dekhun To Palatne Ki Dua Bhi Dena,
Khat Bhi Likhna Usse Mayoos Bhi Rehna Us se,
Jurm Karna Bhi Magar Khudko Saza Bhi Dena,
Mujhko Rasmon Ka Takalluf Bhi Gawara Lekin,
Jee Mein Aaye To Ye Deewar Gira Bhi Dena,
Us se mansoob bhi kar lena puraane Qissay,
Uske baalon mai naya phool saja bhi dena,
Surat-E-Naqshe Qadam Mein sada Rehna Mohsin,
Apne Hone Se Na Hone Ka Pata Bhi Dena…
"Diya poetry in urdu"

Diya urdu shayari |
Comments
Post a Comment