hai dua yaad magar

hai dua yaad magar harf-e-dua yaad nahi,
mere naghmaat ko andaz-e-nawa yaad nahi,

hum ne jin k liye,rahon mein bichaya tha lahoo,
hum se kehte hain wahi aehde wafa yaad nahi,

zindagi jabre musalsal ki tarah kati hai,
jane kis jurm ki pai hai saza yaad nahi,

mein ne palko'n se dar-e-yaar pe dastak di hai,
mein wo saa'il hoon jisay koi sada yaad nahi,

kese bhar aai'n sar-e-shaam kisi ki aankhen,
kese tharai charaghon ki zia yaad nahi,

sirf dhundlaey sitaro'n ki chamak dekhi hai,
kab hua kon hua mujh se khafa yaad nahi,

aao ik sajda karen alame madhoshi mein,
log kehtay hai ke saghar ko khuda yaad nahi,
"Saghar siddiqui poetry"
Saghar Siddiqui Urdu Poetry
urdu poetry_Poetry of, saghar siddiqui
Urdu Poetry Collection

Comments

Popular posts from this blog

Wo Aksar Mujhse Kehti Thi