Sab raste dushman hue
Sab raste dushman hue'ashjar mukhalif
tu' mera hua hai to hue yaar mukhalif
bunyad rakhu'n koi to bunyad hai dushman
deewar uthata hu'n to deewar mukhalif
hathon main utha lete hain ozan ke pathar
sunte hi nahi hain mere ashaar mukhalif
main ishq ko hamdard samajh betha tha yara
lagte na thay is beher ke aasar mukhalif
du'n jaan to qurbani samajhta nahi koi
gar thora sanbhalta hu'n to ghar bar mukhalif
is sheher ko sach sunne ki aadat hi nahi hai
lagte hain sabhi ko mere afkaar mukhalif
suntay thay ke bas hote hain agyaar mukhalif
mere to nikal aaye hain sab yaar mukhalif
jo baat bhi ho dil main chupata nahi farhat
har roz bana leta hu'n do char mukhalif
"Farhat abbas shah poetry"

Farhat abbas shah poetry in urdu |
Comments
Post a Comment