Kabhi Safar To Kabhi Shaam

Kabhi Safar To Kabhi Shaam Le Gaya Mujh Se
Tumhara Dard Kayi Kaam Le Gaya Mujh Se

Mujhe Khabar Na Howi Aur Zamaana Jaatay Howay
Nazar Bachaa Ke Tera Naam Le Gaya Mujh Se

Usse Ziada Zarorat Thi Ghar Basanay Ki
Wo Aake Mere Dar o Baam Le Gaya Mujh Se

Bhala Kahan Koi Juz us ke Milnay Waala Tha
Bas Ik Jurrat-e-Naakaam Le Gaya Mujh Se

Bas Ik Lamhay Ke Sach Jhoot Ke Aiwz Farhat
Tamaam Umar Ka ilzaam Le Gaya Mujh Se...!
"Shaam urdu poetry"
shaam urdu poetry
shaam urdu poetry images

Comments

Popular posts from this blog

Wo Aksar Mujhse Kehti Thi