khulay gi uss nazar pe chashm-e-tar aahista aahista

khulay gi uss nazar pe chashm-e-tar aahista aahista
kiyaa jata hai paani mein safar aahista aahista

koi zanjir phir vaapas vahin par le ke aati hai
kathin ho raah to chhut'taa hai ghar aahista aahista

badal dena hai rasta ya kahin par baith jaana hai
ke Thakata ja raha hai hamsafar aahista aahista

Khalish ke saath is dil se na meri jaaN nikal jaaye
khinche tir-e-shanasai magar aahista aahista

hawa se sar_kashi mein phool ka apna ziyaaN,dekha
so jhukta ja raha hai ab ye sar aahista aahista
"Parveen shakir"
Parveen Shakir Urdu Poetry
Urdu Poetry of Parveen Shakir

Comments

Popular posts from this blog

Wo Aksar Mujhse Kehti Thi