Posts

Showing posts from September, 2013

Hum manna len ge tum agar roothey

Image
Hum manna len ge tum agar roothey kis qadar pyar hai bata den ge saath mere jo ek baar chalo Dhab mohabbat ke sab sikha den ge "Urdu Poetry" Best Urdu Poetry

Mohabbat mein iradey ko badal jana bhi

Image
Mohabbat mein iradey ko' badal jana bhi mushkil hai' Tumhen khona bhi mushkil hai tumhen pana bhi mushkil hai Udaasi tere chehrey ki gawara bhi nahi lekin Teri khatir sitey tor ke lana bhi mushkil hai Zara si baat pe Aankhen bhigo ke beth jate ho Tumhen to haal-e-dil apna batana bhi mushkil hai "Aansoo urdu Poetry" sad poetry aansoo

Meri dunya kaash tak mehdood hai

Image
Meri dunya kaash tak mehdood hai Lafz Kaash...Ek aesa parinda hai Jo Aakash tak Apne par phelata hai Aur meri zameen-e-Khwahish par Apna saaya rakhta hai !! "Saadullah Shah Poetry"

Aankhen bheeg jati hain

Image
Samandar main utarta hoon tou aankhain bheeg jati hain teri aankhoun ko parhta hoon to aankhain bheeg jati hain tumhaara naam likhney ki ijaazat chin gayi jub say koi bhi lafz likhta hoon to aankhain bheeg jati hain teri yaadoun ki khushboo khirkiyoun main raqs karti hay teray gham main sulagta hoon to aankhain bheeg jati hain main huns k jhail laita hoon judaayi ki sub hee rasmain galey jub us k lagta hoon to aankhain bheeg jati hain najaaney hogaya hoon isqadar hassaas main kub say kisi say baat karta hoon to aankhain bheeg jati hain woh sub guzrey huay lamhaat mujh ko yaad aatey hain tumhaarey khut jo parhta hoon to aankhain bheeg jati hain main saara din bohat masroof rehta hoon magar joonhi qadam chaukhat pe rakhta hoon to aankhain bheeg jati hain hur ik muflis k maathey par alam ki daastaanain hain koi chehra bhi parhta hoon to aankhain bheeg jaati hain barey logoun k oonchey budnuma or sard mehloun ko ghareeb aankhoun say takta hoon to aankhain bheeg j...